Pathhar
Wo pathhar hai banjar bhumi ka
Dil me uske na sur- na saaz hote hain.
Phir bhi ik tak dekh raha suraj ko,
Akhir pathhar ke bhi parwaaz hote hain.
Kuch adhiyal sa-
Kuch hai kathor wo,
Na preet ke in me andaaz hote hain.
Dekho aj jal jal kar mar raha hai ye;
Iske tukadon par in gharon ke aggaz hote hain.
Barsaat ke rone par-
Katara katara pighal jae,
Par hawa ke jhokhon se naraz hote hain.
Parvat chattano ki neev hain ye,
Jinme dabe khazano ke ye humraaz hote hain.
Wo pathhar hai behate pani ka,
Har imtehaan ke ye mohtaaj hote hain.
Kabhi aag me jalta hua ek koyla
Toh kabhi nagine ban sar ka taaj hote hain.
Ye banata hai ashiyane unke-
Jo makbaron me quid hain,
Wahin kahin is par prem ke khurede alfaaz hote hain.
Ye hota hai humraahi manzil ke safar me,
Jab khushali ke ped tabiyat se nasaaz hote hain.
Shubhangi Sharma
MUST, Laxmangarh
No comments:
Post a Comment